शांति की तलाश में
भटक रहे थे दर बदर
कोई सूना ठिकाना न मिला
जहाँ सो जाऊं मैं आँख मीच कर .
शाम की इंतज़ार में
झुलसता रहा पल , हर पल
अन्धकार में प्रज्वल सडकें
बुझने न दें दिए पलकों पर .
तन्हाई की चाह में
छान मारी दुनिया सारी
के कहीं एक जंगल ही मिल जाता
जहाँ स्वयं से कुछ बातें कर पाती .
एकांत का अन्वेषण ही
अकरणीय सा काम है .
सब कुछ मिला इस जीवन में,
एकांत मगर भगवन सा है .
Shanti ki talaash mein
bhatak rahe the dar ba-dar
Koi soona thikana na mila
Jahan so jaaon main aankh meech kar.
Shaam ki intezaar mein
Jhulasta raha pal, har pal
andhakar mein prajwal sadkein
Bujhne na dein diye palko par.
Tanhai ki chah mein
Chhan maari duniya saari
Ke kahin ek jungle hi mil jata
Jahan swayam se kuch baatein kar paati.
Ekaant ka anveshan hi
akarniya sa kaam hai.
Sab kuch mila iss jeewan mein,
Ekaant magar Bhagwan sa hai.