Allah ka sheesha hoon main,
Tera aks dikhata hoon.
Kabhi na samjha jo apne ko
Usko paath padhata hoon.
Paani se gehra hoon main
Aur apno se zyada apna.
Jo na bole the Tujhko
Wo baatein main keh jata hoon.
Allah ka sheesha hoon main
Tujhe sacchi baat batata hoon.
Dhake hue chehre Ko tere
Sabke saamne lata hoon.
Kabhi farishte padhe jo tune
Bachpan mein, kitabo mein.
Wo nayab nagina lekar
Teri saamne aaya hoon.
Allah ka sheesha hoon main
Tujhe Khudi se milwata hoon.
Chahe na chahe tu mujhko
Main ye farz nibhata hoon.
Zeher ugalke sacchai ka
Dushman kai banaye Maine.
Iss farebi duniya mein main
Hakikat jo farmata hoon.
Allah ka sheesha hoon main
Chhal nahi kar pata hoon.
Kabhi dost, kabhi dushman banke
Tere saamne aata hoon.
Allah ka sheesha hoon main
Allah ka sheesha hoon.
Wow, beautifully written :))
ReplyDeletewow loved it :)
ReplyDeleteBeautifully Written :)
ReplyDelete