Here's a Random Post for your lazy bums!

Friday, January 23, 2015

Mann Ki Baat

Shabd jo na bayaan kar payein,
aankhon mein hi padh lo
Wo mann ki baat.

Kuch sapne hain,
Kuch Armaan hain.
Chamakti aankhon mein hain
Wo Mann ki baat.

Kai yaadein hain,
Kuch waadein hain.
Bheegi palko se chhanakti
Mann ki baat.

Kuch unkahe bol,
Jo na kabhi hue bayaan.
Koi unsuni fariyad,
Jaise khaali mayaan.

Inhi nazron mein padh lo
Wo Saari kahani.
Kuch nahi kitabein,
Kuch behad purani.

Rain basera banaye
Jaise Rahi Har raat,
Inn aankhon mein padh lo,
Mere mann ki baat.

No comments:

Post a Comment