Here's a Random Post for your lazy bums!

Thursday, January 22, 2015

Yaad toh Aani Hi Thi...

Standing at that threshold of my life where past and future appear better planned out than the present. This poem is a dedication to my family.


Yaad toh aani hi thi.
Sabse hatke
unn choti baaton ki
Jinhe Mujhe pyaar sikhaya.
Wo Har rishta,
Jo ek umra tak nibhaya.

Yaad toh aani hi thi...
Wo goad mein gaadi se ghar tak lana.
Wo gadde Ki fislan banana.
Wo behoshi Ka natak karna
Aur Meri gudgudi se uth jana.

Yaad toh aani hi thi...
Dhoop mein nahla kar sukhana.
Wo loriyan gaake humein sulana.
Wo raaton ko darwaza khadka ke darana.
Ulat-Pulat gana sunaake, hamare hosh udana.

Yaad toh aani hi thi...
Aadhi raat ko garma-garam paranthe pakana.
Ravivar ko dahi-doodh se nehlana.
Raat ko Lahore ki kahaniyan sunana.
Dinbhar aapas mein roothna-manana.

Yaad toh aani hi thi...
Har nayi gudiya ki gardan marodna.
Khud hi ladkar mujhse roothna.
Khud hi maarke, apni Shikayat karna.
Jahan bhi jaye, mere liye tohfa lana.

Yaad toh aani hi thi...
Wo laad-pyaar.
Kabhi thodi Si fatkaar.
Wo aam Ka meetha achaar.
Har teej, Har tyohar.
Kai bhooli-bisri raah..
Ek umar Ka saath.

Yaad toh aani hi thi...

No comments:

Post a Comment